Best Paisa Shayari in Hindi | पैसे पर बेहतरीन शायरी

Jab tak paisa jeb me ho to khair hai
Jab paise ki mohabbat dil me bas jaye
To insan ki insaniyat ka qatal ho jata hai

जब तक पैसा जेब में हो तो खैर है
जब पैसे की मोहब्बत दिल में बस जाये
तो इंसान की इंसानियत का क़तल हो जाता है
Bahot dekhe hai maine tere ghulam
Lekin main apne kirdaar ka hafiz hu
Mere imaan ko ye faani hone wali daulat se kharida nhi jaa sakta

बहुत देखे है मैंने तेरे गुलाम
लेकिन मैं अपने किरदार का हाफिज हूँ
मेरे ईमान को ये फानी होने वाली दौलत से ख़रीदा नहीं जा सकता
Apne liye kamane me koi lazzat nhi hai
Kamaye hue paiso se kisi zarurat mand ki madad kar ke dekho
Ke asal sukoon to logo ki zindagi aasaan karne mein hai

अपने लिए कमाने में कोई लज़्ज़त नहीं है
कमाये हुए पैसो से किसी ज़रूरत मंद की मदद कर के देखो
की असल सुकून तो लोगो की ज़िन्दगी आसान करने में है
Mujhe shikast qubool hai
Ha shikast qubool hai
Magar koi mujhe khairat kare mahal haram paiso ka
Ye meri ghairat ko gawara nahi

मुझे शिकस्त क़ुबूल है
शिकस्त क़ुबूल है
मगर कोई मुझे खैरात करे महल हराम पैसो का
ये मेरी ग़ैरत को गवारा नहीं
Aur phir maine dekha
Ke kis tarah log izzatein baat rahe hai
Unhe jo paiso ki chamak me tar hai
Bhala izzat bhi hui to aisi jisme izzat hi nhi

और फिर मैंने देखा
कि किस तरह लोग इज़्ज़तें बाँट रहे है
उन्हें जो पैसो की चमक में तर है
भले इज़्ज़त भी हुई तो ऐसी जिसमे इज़्ज़त ही नहीं
– Shamim Tanwar
Read more Business Shayari –
1 Response
[…] पैसे पर बेहतरीन शायरी […]